Janmashtami Bhajans

The festival of Janmashtami is celebrated with great zeal by Hindus across India. The eighth day of Sravana month is important in the Hindu calendar, because this is the day when Lord Krishna was born in Mathura. 



The little town of Mathura, situated along the banks of River Yamuna, has now turned into a place of worship. Lord Krishna temple in Mathura is renowned for its Janmashtami celebrations. However, all the temples of Shri Krishna are special on Janmashtami. At midnight stroke, the devotees of Shri Krishna sing devotional songs (bhajans) to praise the deity. It is customary to perform aarti in the midnight of ashtami, when Lord Krishna was born. 



Bhajo Radhe Govinda
Bhajo Radhe Govinda, Gopala Tera pyara naam hai
Gopala Tera pyara naam hai, Nandalala Tera pyara naam hai

Mor mukat maathe tilak viraje, Gale vaijanthimala Gale vaijanthimala
Koi kahe Vasudev ka Nandan, Koi kahe Nandalala Koi kahe Nandalala
Bhajo Radhe Govinda

Gaj aur Grehe lade jal bitar, Jal mein chakra chalaya Jal mein chakra chalaya
Jab jab bhid padi bhagaton par, Nanggi pairin dhaya Nanggi pairin dhaya
Bhajo Radhe Govinda.

Mere Pyare Madan Gopal
Choti choti gaiyan, chote chote gawaal,
chote se mere, Madan gopal

mor mukut mathe saaje, gale mein swaranmaal,
chote se mere Madan gopal,

Kaano mein karanphool, haathon mein ratnajadhit hath haar,
chote se mere Madan gopal,

pitamber saaje tan pe, uspe sundar motiyon ki maal
chote se mere Madan gopal,

pairon mein jhanjhar sohe, jab nache hari angana dwaar.
Chote se mere Madan gopal,

Bhaye sab ke mann ko bal gopal,Karke solah shringar,
chote se mere Madan Gopal.

Darshan Do Ghanshyam
More pranpriye Krishna, more pyare Girdhari,
Darsh do mohe, More pran chhootat jat.

Main neech nirbal prani, chahta jana chhodd duniya ka sath,
Darsh do mohe, more pran chhootat jat.

moh maya ke is bhanwar se ,do mujhe ab ubhar,
Darsh do mohe, more pran chhootat jat.

Karm ki gathariya ho gayi bhari, karo mera uddhar,
Darsh do mohe , more pran chhootat jat.

Sumiran kar tera antim kshan mein, mujhe milega swarg ka dwar,
Darsh do mohe , more pran chhootat jat.

More Pyare Girdhari. Sun lo ab arz humari,
Darsh de mohe , more pran chhootat jat.

Rang le khudko, Murari ke rang 
Jeevan ke sab rang hain jhoote
Rang lo mohe, apne rang mein Murari.

Mrigtrishna ke is jaal se ab karo mukti humari,
Rang lo Mohe, apne rang mein Murari.

Dukh-sukh, paap-punya hain aane jane.
Rang lo mohe, apne rang mein Murari

Mayajaal ke rang hai kacche, bas tohre naam ke pukke,
Rang lo mohe, apne rang mein Murari

Tohre naam se hoga is bhav sagar ka paar
Rang lo mohe, apne rang main Murari.


Shyam Chudi Bechne Aaya
Manihari ka bhesh banaya, Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya,S hyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya, Shyam chudi bechne aaya
Galiyon mein shor machaya, Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya, Chhaliya ka bhesh banaya
Radha ne suni Lalita se kahi, Mohan ko turant bulaya
Shyam chudi bechne aaya, Chhaliya ka bhesh banaya

Chudi laal nahi pehnu, Chudi hari nahi pehnu
Mujhe Shyam rang hai bhaaya, Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya, Shyam chudi bechne aaya

Radha pehnan lagi, Shyam pehnane lage
Radha ne haath badaya, Shyam chudi bechne aaya
Chhaliya ka bhesh banaya, Shyam chudi bechne aaya

Radha kehne lagi , Tum toh chhaliya
Bade dheere se haath dabaya, Shyam chudi bechne aaya,
Chhaliya ka bhesh banaya, Chhaliya ka bhesh banaya,
Manihari ka bhesh banaya, Shyam chudi bechne aaya,
Chhaliya ka bhesh banaya, Chhaliya ka bhesh banaya,
Shyam chudi bechne aaya.

1 comment: