Lord Shiva Chalisa


Shiva Chalisa  is a devotional song  Adapted from the Shiva Purana, it consists of 40 (Chalis) and recited daily or on special festivals like Maha Shivaratri by Shivaites, and worshipers of Shiva.



Lord Shiva Chalisa


Jai Ganesh Girija Suvan 

Mangal Mul Sujan 
Kahat Ayodhya Das Tum Dev Abhaya Varadan 



Jai Girija Pati Dinadayala 

Sada Karat Santan Pratipala 
Bhala Chandrama Sohat Nike Kanan Kundal Nagaphani Ke 



Anga Gaur Shira Ganga Bahaye 

Mundamala Tan Chhara Lagaye 
Vastra Khala Baghambar Sohain Chhavi Ko Dekha Naga Muni Mohain 



Maina Matu Ki Havai Dulari 

Vama Anga Sohat Chhavi Nyari 
Kara Trishul Sohat Chhavi Bhari Karat Sada Shatrun Chhayakari 



Nandi Ganesh Sohain Tahan Kaise 

Sagar Madhya Kamal Hain Jaise 
Kartik Shyam Aur Ganara-U Ya Chhavi Ko Kahi Jata Na Ka-U



Devan Jabahi Jaya Pukara 

Tabahi Dukha Prabhu Apa Nivara 
Kiya Upadrav Tarak Bhari Devan Sab Mili Tumahi Juhari 



Turata Shadanana Apa Pathayau 

Lava-Ni-Mesh Mahan Mari Girayau 
Apa Jalandhara Asura Sanhara Suyash Tumhara Vidit Sansara 



Danin Mahan Tum Sama Kou Nahin 

Sevak Astuti Karat Sadahin 
Veda Nam Mahima Tab Ga-I Akatha Anandi Bhed Nahin Pa-I 



Pragate Udadhi Mantan Men Jvala 

Jarat Sura-Sur Bhaye Vihala 
Kinha Daya Tahan Kari Sara-I Nilakantha Tab Nam Kaha-I 



Pujan Ramchandra Jab Kinha 

Jiti Ke Lanka Vibhishan Dinhi 
Sahas Kamal Men Ho Rahe Dhari Kinha Pariksha Tabahin Purari 



Ek Kamal Prabhu Rakheu Joi 

Kushal-Nain Pujan Chaha Soi 
Kathin Bhakti Dekhi Prabhu Shankar Bhaye Prasanna Diye-Ichchhit Var 



Jai Jai Jai Anant Avinashi 

Karat Kripa Sabake Ghat Vasi 
Dushta Sakal Nit Mohin Satavai 
Bhramat Rahe Mohin Chain Na Avai 



Trahi-Trahi Main Nath Pukaro 

Yahi Avasar Mohi Ana Ubaro 
Lai Trishul Shatrun Ko Maro 
Sankat Se Mohin Ana Ubaro 



Mata Pita Bhrata Sab Hoi 

Sankat Men Puchhat Nahin Koi 
Svami Ek Hai Asha Tumhari 
Ava Harahu Aba Sankat Bhari 



Dhan Nirdhan Ko Deta Sadahin 

Jo Koi Janche So Phal Pahin 
Astuti Kehi Vidhi Karai Tumhari 
Kshamahu Nath Aba Chuka Hamari 



Shankar Ho Sankat Ke Nishan 

Vighna Vinashan Mangal Karan 
Yogi Yati Muni Dhyan Lagavan 
Sharad Narad Shisha Navavain 



Namo Namo Jai Namah Shivaya 

Sura Brahmadik Par Na Paya 
Jo Yah Patha Karai Man Lai 
Tapar Hota Hai Shambhu Saha-I 



Riniyan Jo Koi Ho Adhikari 

Patha Karai So Pavan Hari 
Putra-hin Ichchha Kar Koi 
Nischaya Shiva Prasad Tehin Hoi 



Pandit Trayodashi Ko Lavai 

Dhyan-Purvak Homa Karavai 
Trayodashi Vrat Kare Hamesha 
Tan Nahin Take Rahe Kalesha 



Dhupa Dipa Naivedya Charhavai 

Anta Vasa Shivapur Men Pavai 
Kahai Ayodhya Asha Tumhari 
Jani Sakal Dukha Harahu Hamari 



Nitya Nema kari Pratahi 

Patha karau Chalis 
Tum Meri Man Kamana 
Purna Karahu Jagadish

No comments:

Post a Comment